AC ka Parda (Magnetic PVC Curtain) — Price, Size aur Kaise Lagayein
एसी का पर्दा · एसी की हवा रोकने वाला पर्दा · मैग्नेटिक पीवीसी कर्टन
Standard 3 × 7 ft darwaze ke liye ₹9,570 — GST, magnetic strips, SS304 rail aur installation sab included. Noida factory se seedha, poore India me delivery.
AC ki thandi hawa bahar kyon jaati hai?
Shop ya office ka darwaza baar-baar khulta hai — har baar AC ki hawa bahar aur garam hawa, dhool aur makkhi andar. Magnetic PVC parda darwaze par transparent strips ki deewar bana deta hai: aadmi aaraam se nikal jata hai aur strips magnet se turant judkar band ho jaati hain. Result: AC jaldi thanda karta hai, bill kam, dhool-makkhi bahar.
Price — common door sizes
AC ke parde ka price (3×7 se 6×8 ft)
Complete kit: magnetic strips + SS304 rail + hardware, aapke darwaze ke size par cut. GST included.
| Door size (W × H) | Billed area | Approx. price |
|---|---|---|
| 3 ft × 7 ft | 30 sq ft | ₹9,570 |
| 3.5 ft × 7 ft | 30 sq ft | ₹9,570 |
| 4 ft × 7 ft | 30 sq ft | ₹9,570 |
| 5 ft × 7 ft | 38 sq ft | ₹12,122 |
| 6 ft × 7 ft | 47 sq ft | ₹14,993 |
| 6 ft × 8 ft | 54 sq ft | ₹17,226 |
At ₹319/sq ft (Normal), GST included. Area = whole 16-inch magnetic strips × door height, minimum 30 sq ft. For your exact door, use the price calculator on the Magnetic PVC Strip Curtain page.
Kis liye best hai
- AC wali dukaan, showroom, medical store, clinic OPD
- Office cabin aur server room
- Restaurant kitchen ka darwaza (makkhi rokne ke liye)
- Cold room, pharma aur food factory ke andar ke darwaze
Online sasta parda vs Chronovex kit
| Online sheet (₹300–1,500) | Chronovex magnetic kit | |
|---|---|---|
| PVC thickness | 0.3–0.5 mm sheet | 2 mm / 3 mm industrial strips |
| Fitting | Tape / velcro | SS304 rail, hook-on, installation |
| Life | Kuch hafte | Saalon — strips alag se badal sakte hain |
| Bill | Nahi | GST invoice (business ITC claim kar sakta hai) |
Kaise order karein
- Darwaze ki width aur height (feet me) WhatsApp karo — photo ho to aur achha.
- Hum 30 minute me exact price bhejte hain.
- Delhi NCR me 2–4 din me lagake dete hain; baaki India me kit dispatch, video guide ke saath.
Frequently asked questions
AC ka parda kya hota hai?
AC ka parda transparent PVC strips ka curtain hai jo AC room ke darwaze par lagta hai. Strips ke kinaron par magnet hote hain, isliye aadmi ke nikalte hi parda apne aap band ho jata hai aur AC ki thandi hawa bahar nahi jaati.
AC ke parde ka price kitna hai?
Chronovex magnetic AC curtain 3 x 7 ft ke standard darwaze ke liye ₹9,570 me milta hai — GST, hardware aur Delhi NCR me installation included. Bade darwaze ka price sq ft ke hisaab se upar table me hai.
Kya ye online wale ₹500 ke parde jaisa hai?
Nahi. Online sheet 0.3 mm patli hoti hai aur mahine bhar me phat jaati hai. Hamara parda 2 mm / 3 mm industrial PVC, SS304 rail aur factory-cut strips ke saath aata hai — shop, office, clinic aur factory ke liye banaa hai, 6 mahine warranty ke saath.
Kaise lagaen?
Hum Delhi NCR me khud lagate hain. Baaki India me 2–4 din me dispatch hota hai, hook-on rail ke saath — drill karke rail lagao, strips latkao, bas. WhatsApp par video guide milti hai.
Kitne din me milega?
Delhi NCR: 2–4 working days me installation. Pan-India: 2–4 din me dispatch, courier 3–6 din.